Main aadam hoon, main hoon insaan
main God hoon, main hoon bhagwaan
meri moorat ke chakkar mein
kyon ho tum mushkil mein
Is sadee se, is duniya se
chhota mera naata jag se
moorat todo meri jag se
mujhe basaao dil mein
post card se, har ek note se
chauk, nukkad, street, road se
naate tod saare man ke
chalo naye saahil mein
na naam rahe, na dharm rahe
ek tuchchh bas karm rahe
karm hi naam-dharm rahe
kal ke naye bismil mein
jeevan ke har ik chot mein
haar jeet ke har ik vote mein
naam, dharm na jaam aawe
karm rahe shaamil mein
jeet ke baad na jaat, na raag
na dharm, na rang, na bandh aawe
aurat mard mein farq na ho bas
insaan rahe har dil mein
मैं आदम हूँ , मैं हूँ इंसान
मैं गॉड हूँ , मैं हूँ भगवान्
मेरी मूरत के चक्कर में
क्यूँ हो तुम मुश्किल में
इस सदी से , इस दुनिया से
छूटा मेरा नाता जग से
मूरत तोड़ो मेरी जग से
मुझे बसाओ दिल में
पोस्ट कार्ड से , हर इक नोट से
चौक, नुक्कड़ , स्ट्रीट , रोड से
नाते तोड़ सारे मन के
चलो नए साहिल में
न नाम रहे न धर्म रहे
एक तुच्छ बस कर्म रहे
कर्म ही नाम धर्म रहे
कल के नए बिस्मिल में
जीवन के हर इक चोट में
हार जीत के हर इक वोट में
नाम , धर्म ना जाम आवे
कर्म रहे शामिल में
जीत के बाद ना जात , ना राग
ना धर्म, ना रंग , ना बंध आवे
औरत-मर्द में फ़र्क़ ना हो बस
इंसान रहे हर दिल में
No comments:
Post a Comment